apna nafas nafas hai ki shoala kahen jise wo zindagi hai aag ka dariya kahen jise har-chand shahr shahr hai jashn-e-sahar magar wo raushni kahan hai sawera kahen jise jo chaaragar the wo bhi hue qatil-e-hayat ab kaun hai ki apna masiha kahen jise diwar-o-dar pe sabt hain naqsh-o-nigar-e-yar apna makan hai ki ajanta kahen jise is tarah tabnak hai wo sajda-gah-e-shauq jaan-e-haram ki jaan-e-kalisa kahen jise 'wahid' tumhein jo khwahish-e-nam-o-numud ho wo shairi karo ki muamma kahen jise