ghair ne hum ko zabh kiya nai taqat hai nai yara hai is kutte ne kar ke dileri said-e-haram ko mara hai bagh ko tujh bin apne bhaen aatish di hai bahaaran ne har ghuncha akhgar hai hum ko har gul ek angara hai jab tujh bin lagta hai tadapne jae hai nikla hathon se hai jo girah sine mein us ko dil kahiye ya para hai rah-e-hadis jo tak bhi nikle kaun sikhae hum ko phir ru-e-sukhan par kis ko de wo shokh bada ayyara hai kaam us ka hai khun-afshani har-dam teri furqat mein chashm ko meri aa kar dekh ab lohu ka fawwara hai baal khule wo shab ko shayad bistar naz pe sota tha aai nasim-e-subh jo idhar phaila ambar sara hai kis din daman khinch ke un ne yar se apna kaam liya muddat guzri dekhte hum ko 'mir' bhi ek nakara hai