ghair se bad-guman ho jate meri sunte to kan ho jate mehrban aasman ho jate aap agar mehrban ho jate mere ghar mehman ho jate dil mein tum aa ke jaan ho jate jate hum zar us gali mein agar zarre bhi aasman ho jate pir-e-fani ko waqt-e-baada-kashi hum ne dekha jawan ho jate nam mera jo bazm mein aata mere lakhon bayan ho jate dil to kahta hai lutf-e-wasl ye tha jaan-e-man meri jaan ho jate kahte teri si barg-e-gul bulbul ye bhi teri zaban ho jate bose kya le koi tasawwur mein ki hain rukh par nishan ho jate zulm dhate jo aate turbat par farsh-e-rah aasman ho jate baadalon mein jo mai bhari hoti jhuk ke unchi dukan ho jate shaikh ji mai-kada wo jannat hai tum bhi ja kar jawan ho jate pasban to raqib ban jata hum tere pasban ho jate milte kam-umr mah-jabin jo 'riyaz' hum abhi naujawan ho jate