wo naqab aap se uth jae to kuchh dur nahin warna meri nigah-e-shauq bhi majbur nahin khatir-e-ahl-e-nazar husn ko manzur nahin is mein kuchh teri khata dida-e-mahjur nahin lakh chhupte ho magar chhup ke bhi mastur nahin tum ajab chiz ho nazdik nahin dur nahin jurat-e-arz pe wo kuchh nahin kahte lekin har ada se ye tapakta hai ki manzur nahin dil dhadak uthta hai khud apni hi har aahat par ab qadam manzil-e-jaanan se bahut dur nahin hae wo waqt ki jab be-piye mad-hoshi thi hae ye waqt ki ab pi ke bhi makhmur nahin husn hi husn hai jis samt uthata hun nazar ab yahan tur nahin barq-e-sar-e-tur nahin dekh sakta hun jo aankhon se wo kafi hai 'majaz' ahl-e-irfan ki nawazish mujhe manzur nahin