ghairon ka jaane us se kaisa moamla hai apna to is gali mein charcha bahut raha hai samjho na yun ki hum se wo jaan-e-jaan khafa hai apni to kuchh tabiat bas yun hi be-maza hai han anjuman mein kam hai us ko hijab lekin anjaan sa raha hai tanha agar mila hai ek umr ki rifaqat yun khatm ho rahi hai hum us se bad-guman wo hum se gurez-pa hai qaidi ki tarah sona mujrim ki tarah uthna ye zindagi na jaane kis jurm ki saza hai