ghairon ke zulm apnon ke gham dekhte nahin rahi wafa ki rah ke kham dekhte nahin khud badh ke chumti hain qadam un ke manzilen mud kar jo apne naqsh-e-qadam dekhte nahin waqif nahin jo fitrat-e-pir-e-mughan se rind saghar mein hai sharab ki sam dekhte nahin salar-e-karwan pe jo karte hain e'tiraaz bahke hue khud apne qadam dekhte nahin jin ki nazar hai subh ke ru-e-jamil par zulf-e-daraaz-e-sham-e-alam dekhte nahin ehsas-e-jurm chehre ki rangat badal na de aaina waqt-e-pursish-e-gham dekhte nahin 'ishrat' bashar ki shakl mein khunkhar bhediye sadiyon se le rahe hain janam dekhte nahin