ghairon ko bhala samjhe aur mujh ko bura jaana samjhe bhi to kya samjhe jaana bhi to kya jaana ek umr ke dukh pae sote hain faraghat se ai ghalghala-e-mahshar hum ko na jaga jaana mangun to sahi bosa par kya hai ilaj is ka yan hont ka hil jaana wan baat ka pa jaana go umr basar us ki tahqiq mein ki to bhi mahiyyat-e-asli ko apni na zara jaana kya yar ki bad-khui kya ghair ki bad-khwahi sarmaya-e-sad-afat hai dil hi ka aa jaana kuchh arz-e-tamanna mein shikwa na sitam ka tha main ne to kaha kya tha aur aap ne kya jaana ek shab na use lae kuchh rang na dikhlae ek shor-e-qayamat hi nalon ne utha jaana chilman ka ulat jaana zahir ka bahana hai un ko to bahar-surat ek jalwa dikha jaana hai haq ba-taraf us ke chahe sau sitam kar le us ne dil-e-ashiq ko majbur-e-wafa jaana anjam hua apna aaghaz-e-mohabbat mein is shaghl ko jaan-farsa aisa to na tha jaana 'majruh' hue mail kis aafat-e-dauran par ai hazrat-e-man tum ne dil bhi na laga jaana