lipat rahi hain jo tujh se duaen meri hain hawa ka shor nahin hai sadaen meri hain kisi bhi rah se tum aa sako to aa jaana ki shahr mera hai sari dishaen meri hain uda rahe ho yahan jin ki dhajjiyan tum bhi ye jaan lo ki wo sari ridaen meri hain mujhe to ganw ki mitti hai jaan se bhi aziz wahan ki galiyon mein kya kya adaen meri hain tumhein to chandni ban kar faza mein ghulna hai shab-e-siyah ki sari balaen meri hain pahan ke jis ko hain aghyar surkh-ru 'anjum' wo sadgi se muzayyan qabaen meri hain