ghaiz ka suraj tha sar par sach ko sach kahta to kaun ras aata kis ko mahshar sach ko sach kahta to kaun sab ne padh rakkha tha sach ki jit hoti hai magar tha bharosa kis ko sach par sach ko sach kahta to kaun man rakhta kaun wish ka kaun apnata salib koi isa tha na shankar sach ko sach kahta to kaun tha kisi ka bhi na maqsad sach ko jhutlana magar munh mein rakh kar luqma-e-tar sach ko sach kahta to kaun aadmi to khair se basti mein milte hi na the dewta the so the patthar sach ko sach kahta to kaun sab haqiqat mein ubharta jab bhi sach lagta na tha khwab mein hote ujagar sach ko sach kahta to kaun yaad tha 'suqraat' ka qissa sabhi ko 'ehtiram' sochiye aise mein badh kar sach ko sach kahta to kaun