nafas ki aamad-o-shud ko wabaal kar ke bhi wo khush nahin hai hamara ye haal kar ke bhi ajab tha nashsha-e-waraftagi-e-wasl use wo taza-dam raha mujh ko nidhaal kar ke bhi hamein aziz hamesha rahi hai nisbat-e-khak ye sar jhuka raha kasb-e-kamal kar ke bhi lo hum na kahte the hum ko nahin umid-e-jawab lo hum ne dekh liya hai sawal kar ke bhi ye ek umr purani sharab hai yaro khumar-e-hijr rahega visal kar ke bhi usi ke nam ka sajda kiya musalle par usi ka zikr kiya hai dhamal kar ke bhi sharab dana-e-angur se barabar khinch par ek kuza kashid-e-khayal kar ke bhi