ghalat batate ho tum salaf ki shujaaten sab to aao dariya mein gharq kar den hikayaten sab ye sochta hun main padh raha hun kitab kaisi dhuan dhuan hain labon ko chhukar ibaraten sab nizam-e-insaf-o-adl par ye na jaane kaisa zawal aaya barahna ho kar sisak rahi hain sadaqaten sab jo fan ko bakwas kahne wale sunain ghazlen giro kahin ja ke tum bhi rakh do samaaten sab chalo ki hum bhi murajat ke bahane dhunden yaqin ko pamal kar chuki hain masafaten sab bulandiyon ke safar ki mujh ko na dad dijiye hain salb mere dimagh-o-bazu ki taqaten sab jo lutf lena hai mashq-nawai ki intiha ka ubhaaro khud mein mere qabile ki aadaten sab ye kis ne un ko qalam ka apne hadaf banaya waqar khone lagi hain 'aslam' alamaten sab