dara raha hai mujhe ek dar andhere mein bichhad na jae kahin ham-safar andhere mein umadti kali ghataon ko rokna hoga na dub jae kahin dopahar andhere mein karo na mere liye tum koi diya raushan mujhe ab aane laga hai nazar andhere mein kai charaghon ne udham machai thi ek shab tabhi se dub gaya ghar ka ghar andhere mein wo apni zat mein ek chand hai pa waqt-e-sahar main apni zat mein jugnu hun par andhere mein har aadmi nikal aata hai khol se bahar koi bhi rahta nahin mo'atabar andhere mein charagh walon ke sab dawe khokhle nikle main kar raha hun musalsal safar andhere mein 'kamal' dal do tum kude-dan mein un ko charagh jalte nahin hain agar andhere mein