ghalat-bayani pe uski yaqin dikhati rahi

ghalat-bayani pe us ki yaqin dikhati rahi
main sab samajhti rahi aur muskuraati rahi

ye soch kar ki taghaful to us ki fitrat hai
main apne dil ko badi der tak manati rahi

use to laut ke aana hi tha wo laut aaya
magar wo aaya to hathon se umr jati rahi

ajab riwayati aurat hai zindagi meri
hamesha hasb-e-zarurat hi chahi jati rahi

use chaman ki bahaar-o-khizan se kya matlab
wo ek bholi si chidiya thi chahchahati rahi

wo din ki bojh kadi dhup mein uthata raha
main ratjagon ki thakan odhti bichhati rahi

nazar mein rahna tha 'nusrat' to us ki palkon se
tamam umr main gard-e-safar hatati rahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close