ghalat hai dil pe qabza kya karegi be-khudi meri ye jins-e-mushtarak hai jo kabhi un ki kabhi meri hijab uthte chale jate hain aur main badhta jata hun kahan tak mujh ko le jati hai dekhun be-khudi meri tawahhum tha mujhe naqsh-e-dui kis tarah mitta hai naqab-e-rukh ulat kar is ne surat khinch di meri idhar bhi ud ke aa khakistar-e-dil muntazir main hun laga lun tujh ko aankhon se tu hi hai zindagi meri 'aziz' ek din mujhe ye raazdari khatm kar degi kisi ne baat idhar ki aur rangat ud gai meri