ek hi khat mein hai kya haal jo mazkur nahin dil to dil ishq mein sada waraq-e-tur nahin ek hum hain ki kisi baat ka maqdur nahin ek wo hain ki kisi rang mein majbur nahin imtihan-gah-e-mohabbat nahin gul-e-zar-e-khalil kaun aisa hai jo zakhmon se yahan chur nahin naza ka waqt hai baitha hai sirhane koi waqt ab wo hai ki marna hamein manzur nahin qabil-e-ghaur hai ai jalwa-paristan-e-azal ye kahani hai meri waqia-e-tur nahin misr ka chand ho aaghosh mein zindan ke tulua fitrat-e-husn badal jae to kuchh dur nahin sar jhukae dar-e-daulat se palatne wale be-niyazi ki adaen hain wo maghrur nahin jubba-sai bhi gawara nahin karta koi uth ke jaana dar-e-daulat se bhi dastur nahin ishq mein sarhad-e-manzil se kuchh aage honge us ka rona hai koi sai bhi mashkur nahin dil mein paiwast hui thi jo mere roz-e-azal hai wahi shokh-nazar saiqa-e-tur nahin dil ko bhi di gai hai khidmat-e-dard-e-abadi sirf aankhen hi meri rone pe mamur nahin sar-e-mizhgan mere aansu ka sitara chamka dar par ab asar-e-jazba-e-mansur nahin sad surkhi se kiya kis ne sar-e-fard-e-jamal apne aalam mein tere dida-e-makhmur nahin zindagi khatm hui jab to ek aawaz suni aa gaya main tere nazdik bas ab dur nahin ruh kahti hui nikli hai dam-e-naza 'aziz' un se is bazm mein milna hamein manzur nahin