ghalatiyan apni na hon phir bhi manane ka hunar itna aasan nahin khud ko mitane ka hunar yaadon ke sanpon ko qabu mein karun kaise main main ne sikha hi nahin bin bajaane ka hunar mere chehre ki hansi mein pata khushiyon ka na dhundh muddaton baad mila dard chhupane ka hunar mere apnon ne tarashi meri izzat ki qamis sab ko aata hai yahan qainchi chalane ka hunar aag chingari dhuan kuchh na tha dil phir bhi jala kis ne sikhlaya tumhein aise jalane ka hunar itne sapne na dikha jhuti adakari chhod pattharon ko na sikha ghas ugane ka hunar aankhen chehra zaban sab be-zaban ho jate hain jaan le lega teri raaz chhupane ka hunar qatl karna hai agar jalte hue suraj ko sikh lo barf ki shamshir banane ka hunar