mujh ko khak-e-dar-e-mai-khana banaya hota phir usi khak se paimana banaya hota jalwa-gar husn-e-majazi mein haqiqat hoti kaba-e-dil ko sanam-khana banaya hota na mujhe rang-e-chaman se koi matlab hota surat-e-sabza-e-begana banaya hota aap-biti jo sunata hun to kah dete hain is se behtar koi afsana banaya hota mai-kashon ke jo muqaddar mein na the ye dane nakhl-e-angur ko be-dana banaya hota umr bhar khana-e-khummar mein sar-khush rahte zindagi ka yahi paimana banaya hota kufr-o-iman mein na rahti ye kashakash 'kaifi' kaba-o-dair ko mai-khana banaya hota