gham ata kar ki shadmani de jo bhi de mujh ko jawedani de muskuraate hain chot kha kar bhi kuchh to inam-e-zindagani de rah gaya kaun qadr-dan baqi kis ko aawaz-e-khush-bayani de hum se un ka gurez hai jaez kya maza dukh-bhari kahani de dhyan kya de koi teri jaanib lutf kab tak ghazal purani de aaj tak kitne phal diye us ne kaun aise shajar ko pani de