mai-kada-saman thi nazron mein faza kal raat ko chha rahi thi un ki zulfon ki ghata kal raat ko har-nafas mangi dua-e-khair iman ke liye mere pahlu mein tha ek kafir-ada kal raat ko wo bahaar-afroz aanchal sad gulistan darkinar wo bahisht-e-arzu rangin-qaba kal raat ko aaina-bardar khuld-e-shauq wo lauh-e-jabin wo charagh-e-tur ru-e-pur-ziya kal raat ko wo lab-e-jibril ka partaw hasin tarz-e-kalam qum-be-izni ka hum eajaz-o-ada kal raat ko uljhe uljhe se wo fiqre khoi khoi guftugu sadgi mein wo shararat ka maza kal raat ko hasil-e-sad-mai-kada 'manzur' tha mere liye be-irada mera un ka samna kal raat ko