gham ba-har-taur numayan ho zaruri to nahin aadmi chaak-gareban ho zaruri to nahin dard sharminda-e-darman ho zaruri to nahin muft mein aap ka ehsan ho zaruri to nahin amal-o-qaul se hota hai numayan kirdar aadmi jo bhi ho insan ho zaruri to nahin husn agar zud-pasheman hai to hoga lekin ishq bhi zud-pasheman ho zaruri to nahin meri taqdir sanwarni hai sanwar jaegi aap ki zulf pareshan ho zaruri to nahin husn hota hai faqat husn-e-nazar se paida har kali jaan-e-gulistan ho zaruri to nahin ghair ki laf-zani par bhi rahe pas-e-adab koi angusht-ba-dandan ho zaruri to nahin rukh-e-zeba ko zarurat nahin zewar ki 'sahar' hum tarannum mein ghazal-khwan hon zaruri to nahin