kis tarah khilte hain naghmon ke chaman samjha tha main

kis tarah khilte hain naghmon ke chaman samjha tha main
saz-e-hasti par tujhe jab zakhma-zan samjha tha main

kya khabar thi ham-nawa ho jaenge sayyaad ke
bagh ka apne jinhen sarw-o-saman samjha tha main

qaidi-e-be-khanuman zindan se chhute bhi agar
aur kuchh badh jaenge ranj-o-mehan samjha tha main

tabe-e-gardish hain kis ke inqilabaat-e-jahan
kya kahegi teri chashm-e-pur-fitan samjha tha main

is tarah dil chaak hota hai na yun tukde jigar
lala-o-gul hain tere khun-e-kafan samjha tha main

to mila jis ko use kya jaan o tan se wasta
tafraqa tha jis ko rabt-e-jaan-o-tan samjha tha main

haqq-o-baatil ka 'asar' mitne laga jab imtiyaz
taza hoga qissa-e-dar-o-rasan samjha tha main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close