gham bhi mera ajib hai meri KHushi ajib

gham bhi mera ajib hai meri khushi ajib
bakhshi hai rabb-e-haq ne mujhe zindagi ajib

phulon ka jism jhulse hai kanton pe tazgi
is aaftab-e-asr ki hai raushni ajib

rahte hain sath sath magar be-tawajjoh se
lagti hai mujh ko aap ki pahlu-tahi ajib

majbur-e-ishq hun main nahin to ai mere dil
kal un se guftugu to hui waqai ajib

wo kaun husn-e-naz hai jis ke wasile se
tarikiyon mein phail gai chandni ajib

hain maslahat ke daur ki nairangiyan tamam
hai chaaragar ajib na chaaragari ajib

dushman bhi dushmani se gurezan hua hai aaj
'shaariq' tumhaare dost ki hai dosti ajib


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close