kya kuchh na mujhse waqt ka ayyar le gaya

kya kuchh na mujh se waqt ka ayyar le gaya
ruswai de ke azmat-e-kirdar le gaya

nafrat ki bud-o-bash se mujh ko gharaz nahin
jo mere pas aa gaya wo pyar le gaya

wo qahqahe lutae hai ab mere haal par
jo mere ghar se shama-e-ziya-bar le gaya

bachchon ko kis tarah se main bahla sakunga aaj
bazar ke khilaune to zardar le gaya

mere alawa kaun hai kuchh to bataiye
jo shakhs unch-nich ki diwar le gaya

ahl-e-hawas ko fikr ki ek bhuka shakhs bhi
kaise bacha ke daman-e-kirdar le gaya

ilzam ghair par koi aae to kis liye
'shaariq' ko us ka farz sar-e-dar le gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close