gham bhi sadiyon se hain aur dida-e-tar sadiyon se khana-barbaadon ke aabaad hain ghar sadiyon se dar-ba-dar un ka bhatakna to nai baat nahin chahne wale to hain khak-basar sadiyon se koi mushkil na masafat hai na raste ki thakan asl zanjir hai saman-e-safar sadiyon se tujh se milne ke siwa sari duaen gulshan ek yahi shakh hai be-barg-o-samar sadiyon se kya musafir hain ye raste mein bhatakne wale jaise be-samt ghataon ka safar sadiyon se kis ne dekhi hai zamane mein wafa ki khushbu ye kahani hai kitabon mein magar sadiyon se har zamane mein khushamad ne sadarat ki hai kaamran hota raha hai ye hunar sadiyon se ma-siwa husn kahin ishq ne dekha na 'fahim' ek hi samt ko jamid hai nazar sadiyon se