aate aate tarf mere mud ke phir kidhar chale jaan-sahab! bin tumhaare kha ke gham hum mar chale sajde de naghisniyan karte hain tum sunte nahin jo na karni thi samajat wo bhi kar aksar chale aadmi se but kahae ab khudai ka hai azm tuk karo insaf apni had se tum bahar chale dekh lewenge guzare ke tain ab aur ja dekha bhaari pathar us ko chum sar se dhar chale aashiqon ne nam tera le kiya qalib tahi marte marte bhi to tera hi ye sab dam bhar chale bazm mein tum khul rahe the baithe dekh hum ko ruk gae gar yun hi raazi ho lo ji uth hum apne ghar chale kis ke aae kis se rang-raliyan kiya pyar aur chah ishq ki badnami pyare rakh ke mujh upar chale khizr ko shabash uktaya na ab tak aur hum zindagani ek dam bhar ki bhi kar dubhar chale aah-o-afghan to hamara kar raha hai zor-shor jun bagula ya ho aandhi ya koi sarsar chale dekhen kis ki aah ka us par asar ho 'azfari' hum to bhar maqdur, kar kitna hi shor-o-shar chale