gham do aalam ka jo milta hai to gham hota hai ki ye baada bhi mere zarf se kam hota hai kab meri sham-e-tamanna ko milega ai dost wo sawera jo tera naqsh-e-qadam hota hai be-khabar phul ko bhi khinch ke patthar pe na mar ki dil-e-sang mein khwabida sanam hota hai hae wo mahwiyat-e-did ka aalam jis waqt apni palkon ka jhapakna bhi sitam hota hai gham hua karta hai aaghaz mein apna lekin wahi badhta hai to har ek ka gham hota hai ishq kar deta hai jab aankh pe jadu to 'shamim' dair hota hai nazar mein na haram hota hai