phulon ke des chand sitaron ke shahr mein barbaad ho raha hun nigaron ke shahr mein mauj-e-saman mein zahr hai baad-e-saba mein aag dam ghut raha hai yasmin-zaron ke shahr mein aansu hun hans raha hun shagufon ke darmiyan shabnam hun jal raha hun shararon ke shahr mein wo main hun jis ne shola-e-saghar uchhaal kar ki hai khizan ki baat bahaaron ke shahr mein ye qila aur ye masjid-e-shah-e-jahan ka auj kis darja sar-nigun hun manaron ke shahr mein ai meri fitrat-e-tarab-agin khata-muaf sharminda hun main zulm ke maron ke shahr mein bas main banunga khusraw-e-mahtab ai 'salam' socha hai ye dhuen ke ghubaron ke shahr mein