gham duniya bahut iza-rasan hai kahan hai ai gham-e-jaanan kahan hai ek aansu kah gaya sab haal dil ka na samjha tha ye zalim be-zaban hai khuda mahfuz rakhte aafaton se kai din se tabiat shadman hai wo kanta hai jo chubh kar tut jae mohabbat ki bas itni dastan hai ye mana zindagi kaamil hai lekin agar aa jae jina jawedan hai salam aakhir hai ahl-e-anjuman ko khumar ab khatm apni dastan hai