gham-e-ayyam ki zinda nishani dekhte jao

gham-e-ayyam ki zinda nishani dekhte jao
bahut mashhur hai meri kahani dekhte jao

dil-e-mahjur ka tum ko agar ho imtihan maqsud
hain us ke naqsh tahriri zabani dekhte jao

kuchh aise lafz hote hain jo nashtar ban ke lagte hain
mafar mushkil musibat na-gahani dekhte jao

tashaffi kar lo dil ki fal hi se aas bandh jae
kab aaegi koi saat suhani dekhte jao

sharar-afshan agar aahen to dide ashk se labrez
hue aamez kyunkar aag pani dekhte jao

ilaj-e-karb ki khatir hai lazim dil rahe yaksu
jo hon bimar aankhen rang dhani dekhte jao

khuda rakkhe hai kuchh diwan-e-‘saqi’ bhi jazak-allah
salasat dekhte jao rawani dekhte jao


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close