dosti ya rabt agar baham rahe aadmi kyon mubtala-e-gham rahe un ke aage sar kisi ka kham rahe shaikh kyon is baat se barham rahe ain mumkin hai ki roz-e-hashr tak kushtgan-e-ishq ka matam rahe dard pate hain jo lazzat se unhen kyon talash-e-chaara-e-marham rahe zindagi par ek nikhaar aa jaega gham masarrat mein agar mudgham rahe ho sake us se na hargiz aashna muddaton jis bagh mein aadam rahe