gham-e-darun ka koi tarjuman nahin na sahi jo zakhm-e-dil bhi dahan-e-fughan nahin na sahi ye kam nahin hai ki aankhon mein dil utar aaya tumhaare samne munh mein zaban nahin na sahi yahan to koi nahin jis ka dil hila doge jigar mein taqat-e-zabt-e-fughan nahin na sahi tujhi se shikwa-e-dard-e-nihan karen ai dil tere siwa jo koi raazdan nahin na sahi chaman mein aag laga di jo barq-e-sozan ne to shakh-e-gul pe mera aashiyan nahin na sahi abhi kuchh aur gharaunde banao yaadon ke ghubar-e-rah to hai karwan nahin na sahi zamin to panw tale hai yahi ghanimat hai hamare zer-e-qadam aasman nahin na sahi