yun bulane se nind kab aai

yun bulane se nind kab aai
jab bhi aai hai be-talab aai

ro pade dil dayar ke basi
un ke ghar mein bahaar jab aai

main kisi bazm mein agar aaya
sath mere tumhaari chhab aai

dil hi dhadka na aankh hi phadki
kyon teri yaad be-sabab aai

chashm-e-tar tu baras na soch abhi
bhad dasht-e-junun mein kab aai

yaad ka bhi ajib aalam hai
jab na aana use tha jab aai

un se milne ki jab bhi baat chhidi
his nigahon mein jaan-ba-lab aai

hijr ki dhup dhalte-dhalte dhali
wasl ki shub ghadi na shab aai

khush-nasibi ki rut bhi kyon 'iraj'
main ne chaha na tha ki tab aai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close