gham-e-dil ki zaban ahl-e-tashaddud kam samajhte hain na dil ko dil samajhte hain na gham ko gham samajhte hain wo kahte hain ki hansna hai dil-e-insan ki kamzori nawa-e-zindagi ko zist ka matam samajhte hain junun-e-kusht-o-khun ko nam dete hain shujaat ka amawas ki shab-e-tarik ko punam samajhte hain rawadari ko hum samjhe hue hain dard ka darman mohabbat ko dil-e-majruh ka marham samajhte hain 'mahawir' aur 'gautam' aur 'gandhi' jis ke rahraw the tajjub hai ki hum us rah ko pur-kham samajhte hain banaya hai ahinsa ko usul-e-zindagi hum ne sukun-e-zindagi ka raaz 'talib' hum samajhte hain