rudad-e-gham mein DhunDiye lutf-e-bayan nahin

rudad-e-gham mein dhundiye lutf-e-bayan nahin
ye to hadis-e-dil hai koi dastan nahin

shikwa nahin gila nahin aah-o-fughan nahin
apna jo haal hai wo kisi par ayan nahin

apna yaqin kabhi bhi asir-e-guman nahin
ai shaikh un ke mere koi darmiyan nahin

ai dil jafa-e-ahl-e-jahan se na ho malul
in ki raza jo ho to musibat garan nahin

kya dhundhta hai is mein gham-o-ranj ke siwa
ye meri dastan hai teri dastan nahin

ishq-e-sitam samajh ke zara ai nigah-e-dost
ye tera imtihan hai mera imtihan nahin

hairan hun wahan main kahun kya zaban se
'asi' nigah dil ki jahan tarjuman nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close