gham-e-dil kisi se chhupana padega ghadi do ghadi muskurana padega ye aalam-e-hasti ye daur-e-zamana to kya ab tumhein bhul jaana padega bahut bach ke nikle magar kya khabar thi idhar bhi tera aastana padega abhi munkir-e-ishq hai ye zamana jo dekha hai un ko dikhana padega chalo mai-kade mein basera hi kar lo na aana padega na jaana padega na hoga kabhi faisla kufr o din ka tumhein rukh se parda hatana padega nahin bhulta 'saif' ahd-e-tamanna magar rafta rafta bhulana padega