wo jis ke dil mein nihan dard do-jahan ka tha khabar kisi ko nahin kaun tha kahan ka tha talash-e-yar mein bhatka kiye khalaon mein hamein zamin ka pata tha na aasman ka tha hansa jo phul to shabnam ki aankh bhar aai bahaar samjha jise daur wo khizan ka tha hazar bar mara zindagi mein jite-ji wo shakhs khauf jise marg-e-na-gahan ka tha wahin pe ja ke ruki aaj be-khudi apni jahan pe mod mohabbat ki dastan ka tha bikherta hi raha nur wo shab-e-gham mein jo mahtab tasawwur ke aasman ka tha wo jis ne raat dar-e-dil pe aa ke dastak di zarur jhonka kisi yaad-e-raftagan ka tha tamam umr ki kawish se tai na ho paya wo ek fasla jo apne darmiyan ka tha hua tha qatil sar-e-am jab mera yaro ajib rang kuchh us waqt aasman ka tha