gham-e-dil ko badal jaane ki zid hai

gham-e-dil ko badal jaane ki zid hai
magar khushiyon ko tal jaane ki zid hai

bigadti ja rahi hai meri duniya
magar mujh ko sambhal jaane ki zid hai

har ek tufan ko pichhe chhod aaun
hawadis se nikal jaane ki zid hai

meri fitrat badal jae to kaise
teri baaton ko khul jaane ki zid hai

tere zanu pe mera sar hai lekin
muqaddar ko machal jaane ki zid hai

mere jazbaat ko taskin dena
samundar ko ubal jaane ki zid hai

khilaf-e-zor-e-fitrat 'daur' behtar
magar fikron ko pal jaane ki zid hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close