ashk betab wa nigah be-bak wa chashm-e-tar kharab chashm-e-bina se agar dekho to ghar ka ghar kharab girya be-tasir o fariyaad-e-dil-e-muztarib kharab kar-e-ishq-o-ashiqi naqis tamam aksar kharab ek hamara nam jo pahunche na teri bazm tak ek hamari khak hai jo phirti hai dar dar kharab hai adab se nutq band ab kya bayan ho muddaa pahle hi yahan ho chuka guftar ka daftar kharab dil kharab aur sab hawa-o-hirs-e-dil bekar hai hai faza-e-dahr mein haal-e-but-o-but-gar kharab jaan hi jati hai guftar-e-shakar-alud par bul-hawas se niyyat-e-ashiq hai kuchh badh kar kharab shab-e-adu ke sath din ko mujh se chhupte phirte ho al-gharaz phirte ho yun hi raat-bhar din-bhar kharab dil kharabaat-e-mughan se hum utha sakte nahin ho gae is khak-dan mein chaar din rah kar kharab phodna sar ka hi aa thahra to lakhon sang hain kijiye kyun aastan-e-yar ka patthar kharab jo muqabil mein bala aae wo maujud us mein hai dil hua apna safa se aaina ban kar kharab ek sanam ke hath bik jata na phirta dar-ba-dar but-faroshi se hua hai kis qadar aazar kharab lutf-e-saqi aam tha par wa-e-bakht andalib jam-e-gil bekar nikla saghar-e-abhar kharab mere dil mein ek dam aate nahin misl-e-murad ho gae aghyar ki aankhon mein tum rah kar kharab tum kisi wada se phir jao ki ho jaun tamam ho agar phirne mein mere halq par khanjar kharab munharif hum dekhte hain kuchh nigah-e-tez tez kis rag-e-jaan se hua hai ye sar-e-nashtar kharab aarzu-e-qatl bar aai to kya bar aai khak kuchh yahan qismat buri kuchh wahan dam-e-khanjar kharab yun kharabaat-e-mughan bhi hai kharab-e-rozgar lekin us se bhi hai kuchh tera dil-e-'anwar' kharab