gham-e-duniya ko bas meri taraf aane ki jaldi hai har achchhe waqt ko mujh se bichhad jaane ki jaldi hai bada nuqsan kar baithi main apna jald-bazi mein usi ko kho diya main ne jise pane ki jaldi hai tum itna mukhtasar sa waqt le kar aae hi kyon the idhar aane mein deri ki udhar jaane ki jaldi thi hata kar rah ke kante nikal aai saliqe se mujhe jab manzil-e-maqsud ko pane ki jaldi thi 'siya' sab kah rahe hain zindagi ki aur ab dekho magar dil ki tamannaon ko mar jaane ki jaldi hai