mani-o-mafhum kya hon ishq ke mazmun mein jis tarah koi khayal aae dil-e-majnun mein ishq se hoti hai is shiddat ki garmi khun mein khaulta hai jaise dariya dopahar ko june mein jism mein rag rag phadak uthti hai soz-e-ishq se garm-e-tughiyan jis tarah amwaj hon jaijun mein husn se wazeh hui hai manawiyyat ishq ki shamil-e-mafhum hai unwan bhi mazmun hai yun to hain ajza bahut se shamil-e-tarkib-e-ishq aarzu lekin sar-e-daru hai is majun mein is tarah hun qaidi-e-haalat 'bismil' jis tarah sher ho pinjre mein ya shah-e-zafar rangun mein