gham-e-hayat ka manzar badalne wala hai khushi manao ki suraj nikalne wala hai wo shakhs jis ne hamesha khulus banta tha zara si baat pe tewar badalne wala hai ghurur hone laga us ko apni shohrat par ye azhdaha ise zinda nigalne wala hai sambhaalo apne safine khud apne hathon mein suna hai aaj samundar machalne wala hai waqar-e-ilm-o-hunar kam na ho kahin 'ejaz' yahi charagh hawaon mein jalne wala hai