gham-e-hayat kahani hai qissa-khwan hun main dil-e-sitam-zada hai raaz-dan hun main ziyaada is se koi aaj tak bata na saka ki ek nukta-e-na-qabil-e-bayan hun main nazar ke samne kaundi thi ek bijli si mujhe batao khuda-ra ki ab kahan hun main khizan ne lut liya gulshan-e-shabab magar kisi bahaar ke arman mein jawan hun main ye kah rahi hai nazar ki gham-e-afrin jumbish kisi ke dil ki tabahi ki dastan hun main khizan kahti thi main shokhi-e-bahaaran hun bahaar kahti hai rangini-e-khizan hun main shabab nam hai us jaan-nawaz lamhe ka jab aadmi ko ye mahsus ho jawan hun main jahan-e-dard-o-alam pujta hai mujh ko aah tapish-e-jabin hai lahu sajda aastan hun main wo din bhi the ki main jaan-e-shabab tha 'akhtar' ab apne ahd-e-jawani ki dastan hun main