gham-zada hain mubtala-e-dard hain nashad hain hum kisi afsana-e-ghamnak ke afrad hain gardish-e-aflak ke hathon bahut barbaad hain hum lab-e-ayyam par ek dukh bhari fariyaad hain hafize par ishraton ke naqsh baqi hain abhi tu ne jo sadme sahe ai dil tujhe bhi yaad hain raat bhar kahte hain tare dil se rudad-e-shabab in ko meri wo shabab-afroz raaten yaad hain akhtar'-e-na-shad ki parchhain se bachte rahen jo zamane mein shagufta-khatir o dil-e-shad hain