gham-e-hayat ki ye dilkashi ghanimat hai

gham-e-hayat ki ye dilkashi ghanimat hai
mere qarib na aai khushi ghanimat hai

wo zindagi jo teri yaad ki asir rahi
kisi tarah se guzar hi gai ghanimat hai

hayat marka-e-gham se kam nahin ai dost
ye chand lamhon ki fursat badi ghanimat hai

khuda ka shukr hai tauhin-e-iltija na hui
kisi ne baat meri man li ghanimat hai

talluqat bahar-haal barqarar to hain
jafa-shiar ki ye dushmani ghanimat hai

dhadakte dil ko kahan tak sanbhaal sakte the
hujum-e-gham mein sahar ho gai ghanimat hai

koi anis-e-gham-e-dil nahin raha ai 'taj'
meri rafiq meri shairi ghanimat hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close