ek hi lafz mein daftar likhna khat use soch samajh kar likhna jab chali tez hawa ki talwar kitne panchhi hue be-par likhna chandni kis ka muqaddar thahri kis ka tarik raha ghar likhna jhil se ubhri thi jab qaus-e-quzah wo sulagta hua manzar likhna nam bhi us ka jo likhna pad jae rawish-e-am se hat kar likhna khauf karna na hawa ka hargiz reg-e-sahra pe samundar likhna hai ajab karb qalam mein ai 'taj' jo na likhna ho wo aksar likhna