gham-e-hayat ko likkha kitab ki manind aur ek nam ki hai intisab ki manind na jaane kah diya kis be-khudi mein saqi ne surur-e-tishna-labi hai sharab ki manind bahut qarib se dekha to inkishaf hua wo khar khar hai shakh-e-gulab ki manind mera sawal ki kis ne mujhe tabah kiya tera sukut mukammal jawab ki manind main apni aankhon ko rakhta hun ba-wazu har-dam ki tera zikr muqaddas kitab ki manind mujhe aziz hain khwabon ki kirchiyan bhi 'saba' kisi nigah mein hongi azab ki manind