gham-e-hayat mitana hai ro ke dekhte hain lahu ka dagh lahu se hi dho ke dekhte hain atash ki nind bahut badh gai hai aankhon mein chalo furaat ki bahon mein so ke dekhte hain hamein hamare alawa bhi jaanta hai koi wirasaton ki ye pahchan kho ke dekhte hain tamam umr bahut roe zindagi ke liye ab apni lash pe kuchh der ro ke dekhte hain ajib log hain lashon mein zindagi ke nishan har ek jism mein neza chubho ke dekhte hain is aarzu mein badan ho gaya hai zakhm-alud ki ek raat gulabon pe so ke dekhte hain hum aadmi ki tarah ji rahe hain sadiyon se chalo 'salim' ab insan ho ke dekhte hain