gham-e-hayat se jab wasta pada hoga mujhe bhi aap ne dil se bhula diya hoga suna hai aaj wo ghamgin the malul se the koi kharab-e-wafa yaad aa gaya hoga nawazishen hon bahut ehtiyat se warna meri tabahi se tum par bhi tabsira hoga kisi ka aaj sahaara liya to hai dil ne magar wo dard bahut sabr-azma hoga judai ishq ki taqdir hi sahi gham-khwar magar na jaane wahan un ka haal kya hoga bas aa bhi jao badal den hayat ki taqdir hamare sath zamane ka faisla hoga khayal-e-qurbat-e-mahbub chhod daman chhod ki mera farz meri rah dekhta hoga bas ek nara-e-rindana ek jura-e-talkh phir us ke baad jo aalam bhi ho naya hoga mujhi se shikwa-e-gustakhi-e-nazar kyun hai tumhein to sara zamana hi dekhta hoga 'asad' ko tum nahin pahchante tajjub hai use to shahr ka har shakhs jaanta hoga