har sans mein khud apne na hone ka guman tha wo samne aae to mujhe hosh kahan tha karti hain ulat-pher yunhi un ki nigahen kaba hai wahin aaj sanam-khana jahan tha taqsir-e-nazar dekhne walon ki hai warna un ka koi jalwa na ayan tha na nihan tha badli jo zara chashm-e-mashiyat koi dam ko har samt bapa mahshar-e-fariyaad-o-fughan tha lapka hai bagula sa abhi un ki taraf ko shayad kisi majbur ki aahon ka dhuan tha 'anwar' mere kaam aai qayamat mein nidamat rahmat ka taqaza mera har ashk-e-rawan tha