gham-e-hijr ke gae din guzar hua aakhir apna visal hi pa ye kya ghazab hai pae-khuda tujhe aaj tak hai malal hi hai anokha us ka jamal hi na wo badr hai na hilal hi nahin banti koi misal hi balaghul-ula-be-kamalehi meri aah ne ye kiya asar ki wo aan kar hue jalwa-gar shab-e-tar-e-hijr hui sahar kashafudduja-be-jamalehi hai usi ki shan mein la-fata hai usi ki shan mein hal-ata hai usi ki shan mein innama-hasonat-jamio-khisalehi main sawal-e-wasl hun kar raha wo ye kahta hai ki na manunga ye ajab tarah ka hai makhmasa ki na hijr hai na visal hi mujhe kis tarah na khayal ho ki na 'anjum' un ko malal ho kisi baat ka jo sawal ho nahin utni apni majal hi